|
|
|||||||
MUNAJAAT (DU'A) THAT SHOULD BE RECITED AFTER EVERY SALAAH Ya Ilahi Har Jagha Teri Ataa Ka Saath Ho Jub Pare Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ja Ilaahi Bhool Jawu Naza ki takleef ko Shaadiye deedare Husne Mustapha Ka saath ho
Ya Ilaahi Goor-e-tera Ki Jab Aayeh Sakht Raat Unki Pyaari Mohn Ki subha Jaa fiza Ka saath ho
Ya Ilahi jab pare mahshar me shor-e-daar wa gheer Aman deneh waaleh pyaare peshwa ka saath ho
Ya Ilaahi jab Zabaaneh bahar Aayeh pyaas seh Saahib-e-kauthar Shahe Jood-o-ataa Ka saath ho
Ya Ilaahi Sard-e-Mehri par ho jab khurshid-e-Hashar Sayyad-e-beh Saaya Ke Zill-e-liwaa ka saath ho
Ya Ilahi Garmi-e-Mahshar seh jub bhar keh badan Daaman-e-Mahboob ki thandi hawaa ka saath ho
Ya Ilaahi Na'ama-e-A'maal jub khulne laghe Aib-e-pooshi khalq-e-Sat'taare Khata Ka Saath ho
Ya Ilahi Jub Bahe Aankhe Hisaab-e-Jurum meh Un Tabassum rez-e-hontoh ki Dua ka saath ho
Ya Ilaahi jab Hisaab Khandaa-e-bichaar laye Chashme Ghar-yaane Shafi-e-Murtaja Ka saath ho
Ya Ilahi rangh laayi jab meri Be baaqiyah Unki neechi neechi nazro ki Hayaa Ka saath ho
Ya Ilaahi Jab chalo Tareekh raahe Pul Siraat Aftaab-e-Haashmi Noorul Huda Ka Saath ho
Ya Ilaahi Jub Sare Shamsheer par chalna pare Rabbe Sallim kahneh waaleh ghamzadah ka saath ho
Ya Ilahi Jo Du'a yeh nekh hum tujh se kare Qudsiyyo ke labb seh Ameen Rabbana ka Saath ho
Ya Ilahi Jab Raza Kwaab-e-Ghiraa seh Sar Uthaaye Daulat-e-bedaar Ishk-e-Mustapha Ka Saath ho
Ya Ilahi le chale jab dafan karne Qabar me Ghaus-e-Azam peshewa'e Awliya Ka Saath ho |